Hum Jaante Bojhte Unhein Kar Dete Hain Khafa
Firaaq Mein Jo Lutf Hai Woh Mulaqat Mein Nahi
By Muhammad Wasif Javed on september 07
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye…
To Chand Ratoon Ki Nurm Dilgeer Roshni Mein
Kisi Sitarey Ko Dekh Laina
Agar Woh Nakhl-e-Falak Se Urh Kar
Tumharey Qadmoon Mein Aa Girey To
Yeh Jaan Laina, Woh Ista’aara Tha Mere Dil Ka
Agar Na Aaye…
Magar, Yeh Mumkin Hi Kis Tarah Hai
Kay Tum Kisi Par Nigaah Dalo
To Uss Ki Diwar-e-Jaan Na Tootey…
Woh Apni Hasti Na Bhool Jayey…
(AMJAD ISLAAM AMJAD)
By Sarmad Hashmi on Sept 07
jo ghum diye wo bhulaon kese ,
Dunia se khush ho jaon kese !
Jo tum nahe tu kuch nahe …
jo tum ho to mujhe khud pe hai yaqeen….
mere sanam mere ham nawa …
ye dia hai tum ne dard aesa …
Bhool ker bhe na bhula paon men …..
tumse dor kese bas jaon men !!!!!!!!!!!!!!!!!
Suggested by ph_princess on Sept08
Barhwaan Khiladi
~Iftikhar Arif~
Khushgawaar mausam mein
un ginat tamashai
apni apni teamoon ko
daad dainey aatay hain
apney apney pyaroon ka
hosla barhatay hain
mein alag thalag sab se
barhwain khiladi ko
hoot karta rehta hoon
barhwaan khiladi bhi
kya ajab khiladi hai
khail hota rehta hai
shor machta rehta hai
daad parti rehti hai
aur woh alag sab se
intizaar karta hai
aik aisay lamhay ka
jis mein saniha ho jaey
phir woh khialney nikle
taliyoon ke jhurmut mein
aik jumla-e-khush kun
aik naara-e-tehseen
uske naam per ho jaey
sab khiladion ke saath
woh bhi mautabar ho jaey
per yeh kam he hota hai
phir bhi loag kehte hain
khel se khiladi ka
umr bhar ka rishta hai
umr bhar ka yeh rishta
choot bhi to sakta hai
aakhri wisil(whistle) ke saath
doob janay wala dil
toot bhi to sakta hai
tum bhi iftikhar arif !
barhwain khiladi ho
intizaar karte ho
aik aise lamhe ka
jis mein saniha ho jaey
jis mein haadsa ho jaey
tum bhi iftikhar arif !
tum bhi doob jao gay
tum bhi toot jao gay !!!
Suggested by Sarmad Hashmi
O Pagli Tu Kab Janegi …
Aankhon Ki Zubaan Jan-Ne Wale …
Aksar Nayab Hote Hain …
Bund Kitaab Parhne Wale …
Aksar Nayab Hote Hain …
O Pagli Tu Kab Janegi …
Apne Ashkoo Ko Ponch Le …
suggested by wasif javed on 6th october
Kitab to kitab hoti ha,
Koi parhe ya na parhe,
Ye mun-hassir ha parhne wale par,
Wo us me se kia parhta ha,
Esi kitabein kam magar nayab hoti hein,
suggested by yaseer khawar on 7th october
ajab dastan e ishq hai
sukoon gaya , na qrar hai
milega kabhe na wo mujhe
jiska sadion se intezar hai
or bujha diye sabhe diye
muhabbaton k samaj ne
so Jia kiya yaadon k sang
thera yahe apna haal hai ………..
Jin ko koi harf-ba-harf parhta ha
In Ko Samait K Rakh Le …
Es Ki Be-Tauqeeri Na Kar …
Ashk Nayab Hote Hain …
suggested by princess on 8th october
Hum Log
Daairon mai chaltay hain
Daairon mai chalne se
Dairay tou barhtay hain
Faslay nahi ghat’tay
Aarzoain chalti hain
Jis taraf ko jatay hain
Manzilain tamanna ki
Sath sath chalti hain
Gard urti rehti hai
Dard barhta jata hai
Raastay nahi ghattay
Subbah dum sitaaron ki tez jilmilahat ko
Roshni ki aamad ka pesh baab kehtay hain
Ek kiran jo milti hai aftab kehtay hain
Daira badalnay ko inqilaab kehtay hain!
(Amjad Islam Amjad)
suggested by mohsingilani on 11th june 🙂
Barhwaan Khiladi
~Iftikhar Arif~
Khushgawaar mausam mein
un ginat tamashai
apni apni teamoon ko
daad dainey aatay hain
apney apney pyaroon ka
hosla barhatay hain
mein alag thalag sab se
barhwain khiladi ko
hoot karta rehta hoon
barhwaan khiladi bhi
kya ajab khiladi hai
khail hota rehta hai
shor machta rehta hai
daad parti rehti hai
aur woh alag sab se
intizaar karta hai
aik aisay lamhay ka
jis mein saniha ho jaey
phir woh khialney nikle
taliyoon ke jhurmut mein
aik jumla-e-khush kun
aik naara-e-tehseen
uske naam per ho jaey
sab khiladion ke saath
woh bhi mautabar ho jaey
per yeh kam he hota hai
phir bhi loag kehte hain
khel se khiladi ka
umr bhar ka rishta hai
umr bhar ka yeh rishta
choot bhi to sakta hai
aakhri wisil(whistle) ke saath
doob janay wala dil
toot bhi to sakta hai
tum bhi iftikhar arif !
barhwain khiladi ho
intizaar karte ho
aik aise lamhe ka
jis mein saniha ho jaey
jis mein haadsa ho jaey
tum bhi iftikhar arif !
tum bhi doob jao gay
tum bhi toot jao gay !!!
thnx 4 sharing completely liked it
In this page u r allowed to post anything u want n t will get updated 🙂
it is all yours
I ve got almost 90-100 poetry collections in my pc. And more then 30 in my mobile. 😀
hmm I should have shared better one =) well thanks dear 🙂
Lovely dairy you have 🙂
thnx 🙂
Nice versatile poetry on a single page 🙂
Hum Log
Daairon mai chaltay hain
Daairon mai chalne se
Dairay tou barhtay hain
Faslay nahi ghat’tay
Aarzoain chalti hain
Jis taraf ko jatay hain
Manzilain tamanna ki
Sath sath chalti hain
Gard urti rehti hai
Dard barhta jata hai
Raastay nahi ghattay
Subbah dum sitaaron ki tez jilmilahat ko
Roshni ki aamad ka pesh baab kehtay hain
Ek kiran jo milti hai aftab kehtay hain
Daira badalnay ko inqilaab kehtay hain!
(Amjad Islam Amjad)